Hamari Kahani Diaries Complete Bundle Alag-Alag Packs FAQ Shop Karein →
🌸 India Ka Pehla Hinglish Parenting Planner

Meri Pregnancy,
Meri Kahani

Pehli Dhadkan Se Pehle Janamdin Tak

Ek diary jo aapki bhaasha mein baat karti hai. Jo IVF ke safar ko samajhti hai. Jo twin parents ke liye khaas socha gayi hai — kyunki aapki kahani generic nahi hai. Printable PDF, phone par milti hai, ghar par print karein.

130+Pages Total
11Packs
12Bundle Bonuses
₹99Se Shuru
DAIMA Global Hinglish pregnancy diary printable
DAIMA Global founder story

Yeh Banaya Kyu?

Jab main pregnant thi, main dhoondh rahi thi ek aisa planner jo meri bhaasha mein ho. Jo Indian festivals jaanta ho. Jo IVF ke safar ko samjhe. Jo mere twin bachon ke liye alag se socha ho.

"Woh mujhe mila nahi — toh maine khud banaya."

Main ek IVF warrior hoon. Do bachon ki maa — ek beti aur ek beta. Aur DAIMA Global ki founder. DAIMA ka matlab hai 'Hamesha' — kyunki yeh pyaar, yeh yaadein, yeh safar hamesha ke liye hai.

🦋 IVF Journey  ·  👶👶 Twin Parents  ·  🪔 Indian Culture  ·  Made with Love
Hamari Diaries

Aap Kis Stage Par Hain?

Apne stage ki diary chuniye — usme us waqt ke saare kaam ke pages ek saath. Printable PDF, phone par milegi.

Baby aane ke baad · 41 pages

Newborn Diary

"Pehle din se pehle janamdin tak"
Newborn Complete Pack First Year Complete Pack New Dad Pack Grandparents Memory Pack
  • Newborn Complete Pack — baby ka daily routine log, milestones, pehle mahine ki yaadein
  • First Year Pack — pehla khana, pehle tyohaar, pehla janamdin
  • New Dad Pack — papa ke liye pages
  • Grandparents Pack — Nana-Nani, Dada-Dadi ki yaadein
₹349
Alag-alag ₹596 · Diary mein ₹247 ki bachat
Launch price · 1 Feb 2027 se ₹499
💬 WhatsApp Par Order Karein
IVF safar aur twins · 48 pages

IVF & Twins Diary

"Har umeed, do dhadkanen"
Twin Special Pack IVF Warrior Complete Pack Proud Moments Pack
  • Twin Special Pack — Baby A + B ke alag columns
  • IVF Warrior Pack — IVF journey journal aur Heart & Hope pages
  • Proud Moments Pack — Beti Ka Papa, papa aur husband ke khat
₹399
Alag-alag ₹647 · Diary mein ₹248 ki bachat
Launch price · 1 Feb 2027 se ₹599
💬 WhatsApp Par Order Karein

Sab Kuch Chahiye? Complete Bundle

Pregnancy se pehle janamdin tak — saare 11 packs aur 12 bonus, ek saath.

DAIMA Complete Parenting Bundle printable
SABSE ZYADA BACHAT

DAIMA Complete Parenting Bundle

Sab kuch, ek jagah

Saare 11 packs + 12 bonus — pregnancy se pehle janamdin tak ka poora safar. Bonus sirf is bundle ke saath milte hain.

Saare 11 complete packs
Twin Special + IVF Warrior bhi
12 bonus FREE
New Dad + Grandparents packs
130+ main pages
Hamesha ke liye aapka
Alag-alag lene par ₹1,739
₹699
₹1,040 ki bachat
Launch price · 1 Feb 2027 se ₹999
Complete Bundle Lein — ₹699 →

Shuruaat Ke Liye

Pehle ek chhoti cheez se dekhna chahte hain? Yahan se shuru kijiye.

Delivery Bag + Birth Plan Kit

Delivery ke liye bag mein kya-kya rakhna hai (maa aur baby dono ka), birth plan ke pages aur zaroori kaagzaat ki list — Indian parivaar ke hisaab se, Hinglish mein.

₹99
Launch price · 1 Feb 2027 se ₹149
💬 WhatsApp Par Order Karein

Alag-Alag Packs

Sirf ek pack chahiye? Har pack alag se bhi milta hai.

Pregnancy Complete Pack
19 Pages · Printable PDF

Pregnancy Complete Pack

"Pehli khabar se delivery tak"
  • Trimester 1, 2, 3 weekly journal
  • Delivery bag checklist (Indian version)
  • Birth plan + baby name journal
₹199
Launch price · 1 Feb 2027 se ₹299
Abhi Kharidein
Newborn Complete Pack
16 Pages · Printable PDF

Newborn Complete Pack

"Pehle din se pehle mahine tak"
  • Baby ka daily routine log (doodh + neend)
  • Baby ke tike ki dates likhne ke pages
  • Maa ka self-care + pehle mahine ki memory book
₹199
Launch price · 1 Feb 2027 se ₹299
Abhi Kharidein
Twin Special Pack
16 Pages · Printable PDF

Twin Special Pack

"Do dhadkanen, ek maa"
  • Twin daily routine log (Baby A + B columns)
  • IVF journey journal pages
  • Twin milestones + announcement pages
₹249
Launch price · 1 Feb 2027 se ₹349
Abhi Kharidein
IVF Warrior Complete Pack
12 Pages · Printable PDF

IVF Warrior Complete Pack

"Har din, har umeed — sambhali hui"
  • IVF journey journal pages
  • Heart & Hope emotional journal
  • Affirmation pages + husband ki taraf se khat
₹249
Launch price · 1 Feb 2027 se ₹349
Abhi Kharidein
First Year Complete Pack
13 Pages · Printable PDF

First Year Complete Pack

"Pehle kadam se pehle janamdin tak"
  • Birthday planner + pehla khana journal (khichdi, ragi)
  • Pehle tyohaar (Diwali, Eid, Holi, Christmas)
  • Birthday invitations (boy, girl, twins)
₹199
Launch price · 1 Feb 2027 se ₹299
Abhi Kharidein
Proud Moments Pack
20 Pages · Printable PDF

Proud Moments Pack

"Dil ki baatein — kagaz par"
  • Beti Ka Papa pride page (single + twin)
  • 5 letters from a father
  • 3 letters from a husband
₹149
Launch price · 1 Feb 2027 se ₹249
Abhi Kharidein
Self Care Complete Pack
10 Pages · Printable PDF

Self Care Complete Pack

"Pehle aap — phir sab kuch"
  • Self care journey + rituals
  • Mann ki baatein journal
  • 30 day self care challenge
₹99
Launch price · 1 Feb 2027 se ₹149
Abhi Kharidein
New Dad Pack
5 Pages · Printable PDF

New Dad Pack

"Papa ke liye bhi kuch khaas"
  • New dad daily log
  • Dad's letter + promises to baby
  • Twin daddy story page
₹99
Launch price · 1 Feb 2027 se ₹149
Abhi Kharidein
Baby Shower Pack
5 Pages · Printable PDF

Baby Shower Pack

"Naye mehmaan ka swagat"
  • Godh bharai planning checklist + guest log
  • Baby shower games template
  • Thank you card template
₹99
Launch price · 1 Feb 2027 se ₹149
Abhi Kharidein
Grandparents Memory Pack
7 Pages · Printable PDF

Grandparents Memory Pack

"Teen peedhiyon ka pyaar"
  • Nana-Nani, Dada-Dadi ki pehli mulaqat
  • Unki yaadein, unke shabdon mein
  • Nana/Dada aur Nani/Dadi ke khat
₹99
Launch price · 1 Feb 2027 se ₹149
Abhi Kharidein
Announcement Pack
7 Pages · Printable PDF

Announcement Pack

"Khushkhabri ka pehla pal"
  • Family announcement card
  • Khushkhabri ki memory journal
  • "Hum Teen / Chaar Ho Gaye" cards
₹99
Launch price · 1 Feb 2027 se ₹149
Abhi Kharidein

Meri Diary — Sirf Aapke Liye

Har parivaar alag hai. Aap batayein, hum sirf aapke kaam ke pages chun kar diary banayenge.

Apni Zaroorat Bataiye

WhatsApp par 3 chhote sawaal — aap kis stage par hain, single baby ya twins, aur kya likhna chahti hain. Uske hisaab se aapki apni diary.

₹499
Pehle 10 parivaron ke liye · uske baad ₹549
Launch price · 1 Feb 2027 se ₹599
Kaise Milega?

3 Aasaan Steps

1

Diary Ya Pack Chunein

"Abhi Kharidein" dabayein, ya diary ke liye "WhatsApp Par Order Karein" — hum wahin payment link bhej denge.

2

Secure Payment

UPI, card ya netbanking se payment karein — Razorpay se poori tarah secure.

3

PDF Aapke Phone Par

Payment ke baad download link aapko mil jaata hai — koi parcel nahi, koi wait nahi. Email ka Spam/Promotions folder bhi dekhein.

Kyu DAIMA?

Sirf Aapke Liye

🗣️

Hinglish Mein

Hindi aur English ka pyara milan — bilkul jaise aap sochti hain, baat karti hain.

🦋

IVF Journey

Ek asli IVF warrior ki kahani se bana — aapka har intezaar, har umeed samajhte hain.

👶👶

Twins Ke Liye Bhi

Baby A aur Baby B — dono ke liye alag-alag columns aur pages.

🪔

Indian Culture

Diwali, Eid, Holi, Navratri, godh bharai — aapke tyohaar, aapki reetein, sab yahan hain.

👵

Poore Parivaar Ke Liye

Nana-Nani, Dada-Dadi ki yaadein aur khat — teen peedhiyon ka pyaar ek jagah.

💙

Papa Ke Liye Bhi

New Dad Pack aur dil se likhe khat — kyunki is safar mein papa bhi utne hi zaroori hain.

Founder Ka Vaada

Hum Aapse Kya Vaada Karte Hain

  • Har page ek asli IVF twin family ke anubhav se, Hinglish mein banaya gaya hai
  • Kharidne se pehle sample page dekhna ho, toh WhatsApp kijiye — hum bhej denge
  • Link na mile ya file na khule — WhatsApp ya care.daimaglobal@gmail.com par likhein, 24 ghante mein madad milegi
  • Aapka email aur number sirf order delivery aur zaroori updates ke liye use hota hai
— Radhika, DAIMA Global
Sirf Complete Bundle Ke Saath

12 Bonus — FREE

Complete Bundle lene par ye 12 bonus bina kisi extra kharche ke milte hain.

IVF Affirmation Cards
IVF Affirmation Cards
Twin Mom Quick Sheet
Twin Mom Quick Sheet
Letters Collection
Letters Collection
Baby Budget Tracker
Baby Budget Tracker
Delivery Documents Kit
Delivery Documents Kit
Pehle 30 Din Ki Guide
Pehle 30 Din Ki Guide
New Dad Survival Guide
New Dad Survival Guide
Baby Name Master Sheet
Baby Name Sheet
Dadi Nani Ka Ashirwaad
Dadi Nani Ka Ashirwaad
Memory Wall Kit
Memory Wall Kit
Newborn Sensory Cards
Sensory Cards
IVF Ki Bhasha words sheet
IVF Ki Bhasha

Saare 12 bonus Complete Bundle (₹699) ke saath FREE 🎁 · Bundle dekhein

Sawaal?

Aksar Pooche Jaate Hain

Kya koi chhapi hui diary ghar aayegi?

Nahi — yeh printable PDF files hain, jo aapke phone/email par aati hain. Aap ghar par ya local print shop par A4 size mein print karwa sakte hain. Print ka kharcha aapka hota hai: B&W lagbhag ₹1–3 ek page, colour ₹8–20 ek page.

Diary, pack aur Complete Bundle mein kya farq hai?

Pack = ek vishay ke pages (jaise Pregnancy Pack). Diary = aapke stage ke 3–4 packs ek saath, kam daam mein. Complete Bundle = saare 11 packs + 12 bonus — sabse zyada bachat. Bonus sirf Complete Bundle ke saath milte hain.

Kharidne se pehle dekh sakti hoon?

Haan! WhatsApp par "sample" likh dijiye, hum aapko asli page ka sample bhej denge.

Twin Pack mein kya khaas hai?

Baby A aur Baby B ke alag-alag columns aur pages hain — ek IVF twin family ke apne anubhav se banaya gaya, Hinglish mein.

Kya yeh daam hamesha yahi rahega?

Abhi launch price chal raha hai, 31 January 2027 tak. 1 February 2027 se har product ka normal daam lagega (har card par likha hai). Saare daam mein GST shaamil hai.

Kya main ise gift kar sakti/sakta hoon?

Bilkul. Payment ke baad aayi files gift paane wale ko forward kar dijiye, ya print karwa ke ek file/folder mein haath se dijiye. Ek copy ek parivaar ke personal use ke liye hai.

Mujhe file nahi mili, ab kya karoon?

Pehle email ka Spam/Promotions folder dekhein. Phir bhi na mile toh WhatsApp ya care.daimaglobal@gmail.com par payment ka screenshot bhejein — 24 ghante ke andar link dobara bhej diya jaayega.

Kya yeh India ke bahar se bhi le sakte hain?

Haan, yeh digital download hai — duniya mein kahin se bhi le sakte hain. Bahar ke parivaar hamari Etsy shop se bhi le sakte hain.

Shuru Karein Aaj Se

Pehli Dhadkan Se Pehle Janamdin Tak

Har pal yahan sambhaal ke rakhiye — kyunki yeh waqt dobara nahi aata.